Maa Ke Naam...
Raat ki aankhon mein jo neendon ki kami hai
Maa kuch aur nahin tujhse doori ki ghami hai
Ek bechain si subah ne bhi apna chaaadar failaya hai
Par maa ismein bhi kahan tere aanchal sa saaya hai
Har roz rasoi se ye jo dhuaan nikalta hai
Lagta hai teri khushboo choone ko tarasta hai
Diyon ki dagmagati law, mandir mein aarti ki jo aawazein jhoolti hain
Teri aankhon ki chamak, teri aahaton ki dhun ko kahan bhoolti hain
Deewaron par lage har aaine ki shikayat hai
Teri aankhon mein apna aks dekhne ki aaj bhi unki chahat hai
Jab bhi aangan mein boondon ki jhadi lagti hai
Ehsaas hota hai ki teri payal ki rum jhum ko hi thagti hai
Suraj bhi teri god mein garmahat dhoondhta hai
Chaand bhi sone k liye teri loriyon ki aahat dhoondhta hai
Maa ye kaisi teri mehek hai
Kabhi mitti si saundhi to kabhi panchiyon ki chehak hai
Door hokar bhi maa tu hamesha paas hai
Jism ko rooh se jo jode wo ehsaas hai
No comments:
Post a Comment