Thursday, July 1, 2010

Kya mere sapne kya meri khushi....


Kabhi mann ki gali mein machti hai ik hulchul si...
Zindagi lagti hai anjaani pal pal mein hi...
Kabhi wajah nai milti jeene ki
to kabhi fursat nai milti yaadon ko seene ki...
Kabh mann ki gali mein machti hai ik hulchul si...

Har waqt,waqt guzarta jaata hai...
Ik lambi si sadak par sapnon ka ghar nazar aata hai...
Us ghar ka raasta gum hai kisi andhere mein...
Ulajhta hi chala jaata hai zindagi ke har fere mein...
aaj pehli baar sawalon ko dekha jawabon ke ghere mein...

Apne mann ki baat khud hi nai samajh paati....
Agar bazaar mein bikti khushi to thodi main bhi kharid laati...
Har waqt badalti hai zindagi apna rang....
Har pal mann nikal padta hai ik naye sapne ke sang...
Aadhe adhure sapne khushi aadhi adhuri...
Dhoodhti rehti hoon wo ek cheez jo kar paaye isse poori...

Aankhon mein tairte sapne hi sapne...
na jaane kaun paraye kaun apne???
Waqt guzarta jaata hai magar
raasta fir bhi door hi nazar aata hai...
Kab sapnon ki pechaan hogi kab milegi khushi???
Kabhi kabhi mann ki gali mein machti hai ik hulchul si....