Saturday, July 12, 2014

Kuch Hai...



Kuch hai andar jo sulag raha hai
Kuch purana sa
Jo naye se ulajh raha hai

Ajeeb si bechaini hai
Sab kuch kar chuki taar taar
Fir bhi dhaar ab tak paini hai

Kya baaki hai
Khatam karne ke liye
Bas zinda hain hum ab
Har roz marne ke liye

Saanson ka aana
Saanson ka jaana
Fir chupa lena wo aansu
Karke naya bahana

Dard ke humdard
Ab ban gaye hain
Naye raaston par puraane
Manzar tham gaye hain

Bas bahut hua
Bahut hua
Ab chehron mein hum
Khushi nahi dekhenge
Kitni bhi zid pe utre dil
Pyaar ke aage mere sapne
Ghutne nahi tekenge

Sunday, April 13, 2014

Shayad Mera Kuch Kho Gaya Hai...

Shayad mera kuch kho gaya hai
Ek sapna jaagta tha har raat
Ab na jaane kis neend mein so gaya hai

Kabhi socha na tha jo
Har roz ab usko jee rahe hain
Chehakti aawazon ke mele mein
Sannaton ki dhun ko pee rahe hain

Kehte nahin ek lafz bhi
Fir bhi baat wo bayaan hai
Haan, Haan mera kuch kho gaya hai

Yaadon ki ek slate hai
Jo kabhi saaf nahi hoti
Hanste-hanste beet jaate hain din
Par khushi se mulakaat nahi hoti

Jo bhi ho, zindagi ka andaaz to naya hai
Sach hai ki mera kuch kho gaya hai

Maa kehti hai sab achche ke liye hota hai
Daagon ke baawjood bhi
Chaand apni chamak kahan khota hai

Hona tha jo woh ho gaya hai
Kabhi na kabhi badlega mausam
Mil jayega mujhe woh jo kho gaya hai.