Saturday, January 30, 2010

~~Lo f!r beh chale hum~~


Lo fir beh chale hum
samet kar saari maa
yusi saare gam...
Namkeen hai zindagi;
namkeen hain hum...
Aaj jo bahe hain
Kar chale tumhare mann ka bojh kam...

Lo fir beh chale hum
Aaj khushi ne kar di aankhein nam;
Jhilmil dikhta hai chehra
Har rang humari chamak se ho uthta hai gehra...
Pal pal aankhon mein nahi rehte...
Par behte hi saari kahani kehte...

Ajib hai
ye namkeen sa paani...
Kabhi chehre ki chamak kabhi dard ki kahani...
Behte hain,ho jaate hain khaak..
Khushi ho
ya gum har pal rehte hain saath...
Dard to karte hain kam..
Par khushi ka ajab izhaar hain hum..

Beh kar khaak hona humari zindagi..
Aankhon se hai ik khatti si dillagi..
K
ya hua jo mitna hi;hai humara naseeb
Aankhon mein sapnon ke baad
Hum hi rehte hain sabse kareeb..
Kabhi humein na samajhna galat...
Zameen ko bhi tab thandak milti hai jab ro padta hai falak!!!










4 comments:

DeeepFriedLife said...

"Lo Firr Beh Chale Hamm"..ai hai...mazaaa aa gaya...aansuon ko itni achhi zabaan kam hi milti hai..kaafi saari parton ko khola tumne ek aansoo ki..shayad ek ko nahi khola..ki bane hain behne ke liye bhi, rehne ke liye bhi..par firr bhi beh jaayein zaada..to nazar andaaz ho jaate hain..aur aayen na baahar to khudgarz kehlaate hain..par bahut karra likha hai..damn!

Shaunak said...

bohot sahi !
imaginative, creative, expressive....sab kuch....keep on writing...

Unknown said...

Well said..i really missed an important shade of tears....
n u r such a flawless writer y dont u keep rgular on ur own blog??

Unknown said...

amazingly good!!!!!!!!!!!!!!
i think the bst of ur creations ever........
sahi batao....ye padh k 1 pal k liye mere paas shabd hi nhi the...a very heart throbing poem....i loved it.....:)))