Friday, October 17, 2008

kuch naya kuch purana....

aaj kahin se guzarte hue,
kaagaz ke tukdon par mila ek bachpan ka sketch
kuch tirchi lakeerein aur kuch seedhi raahein
behti hui nadi dhoondh rahi thi thamne ki jagah
thami hui zindagi dhoondh rahi thi chalne ki wajah
aaj kahin se guzarte hue,
mile chutki bhar khoye hue khwaab
unke adhoore reh jaane ka mutthi bhar gam
aur unhein hamesha k liye kho dene ka samandar bhar ehsaas
aaj kahin se guzarte hue,
mile kuch puraane dost ek mod par
wahi kuch bematlab ki lambi si kahaniyan
fir unhi doston ko kisi kahani mein dhoondhne ki koshish
aaj kahin se guzarte hue,
mila ladakpan ka pehla pyaar,
kuch thamti rukti dhadkanon ki aawaz
ek naadan sa yakeen ki yahi hai pyaar
fir kisi aur ko dil dena aur,
ek shararati khayal ki pyaar hota hai baar baar
guzarte guzarte....
kho diya kuch naya aur
paa lilya kuch puraana sa
fir laga ki zindagi bhi ajeeb hai
puraane se baandhe rakhkar naye mein
bhaagne ko majboor karti hai......

5 comments:

DeeepFriedLife said...

hmmmmmmmmmmmmmmmmmm

mazaa aaya.....

par tumko itti kitti baar pyaar ho chuka hai...??!!!

B-)

mazaaa aa gaya......

Shaunak said...

wah wah !!
jaisa bhai ...waise behen !
itni badi badi philosophy!
maan gaye !

genuinely bohot aacha likha hai ..

Unknown said...

Bhai se achchha likhti ho..........really keep writing..........will wait for next poem or article..................

Unknown said...

gr8 creation....
n really true....

prateek said...

aaj kahin se guzarte hue
hua ye ehsaas..ek great si buaji hai mere pass.,
bachpan mai mila tha to choti si thi bahut.but now she is very hoshiyar.

aaj kahin se gujarte hue...

PS: rest part will come soon, ;)

any ways its very nice..GOOD work dear